Let's Search

Ye janaza hai ek ashiq ka jo ab nahi raha. haal e dil

>> Saturday, April 18, 2009

Yun paraya kar diya unhone mujhe dekho,
Jaise ab main unke dil ka hissa nahi raha,
Chahta raha jis shakhs ko umra bhar,
Wo keh ke chal diya, " ab vasta nahi raha".

Hazar khwab dekh diye the jiski khaatir,
Kho baitha tha apna hawaas bhi mein,
Wo jisko sochta tha subho-sham, har pal,
Wo yun gaya jaise, gaya waqt nahi raha.

Hai kahan mumkin use yun bhool jaana,
Hai kahan aasan na yaad karna use,
Wo hai meri saanso mein shamil,
Jiske dil mein ab ye nadeem na raha.

Kal jab subha utho, to zara jhank lena khidki se,
Sun lena aawazein jo kabhi tumhe baichain kar jayengi,
Ho sake to poochh bhi lena baahar gurne walon se,
Jawab yahi milege poochhne par tumhe,
"ye janaza hai ek ashiq ka jo ab nahi raha."

2 comments:

Arshia Ali September 26, 2009 at 1:41 AM  

सुंदर कविता है। बधाई स्वीकारें।
लेकिन यदि आप हिन्दी लिपि में रचनाएं प्रस्तुत करें, तो ज्यादा अच्छा लगेगा।
-------
( Treasurer-S. T. )

Dileepraaj Nagpal December 16, 2009 at 10:12 AM  

Arshiya Jee Ki Baat Kahunga Ki Kavita Hindi Me Hi Likhen To Bhaav Zayada Uberkar Aayenge. Abhiwyakti Khoobsoorati-Se Ki Hai Aapne...badhayi Saweekaaren...

  © Blogger templates Shiny by Ourblogtemplates.com 2008

Back to TOP