Let's Search

Ye janaza hai ek ashiq ka jo ab nahi raha. haal e dil

>> Saturday, April 18, 2009

Yun paraya kar diya unhone mujhe dekho,
Jaise ab main unke dil ka hissa nahi raha,
Chahta raha jis shakhs ko umra bhar,
Wo keh ke chal diya, " ab vasta nahi raha".

Hazar khwab dekh diye the jiski khaatir,
Kho baitha tha apna hawaas bhi mein,
Wo jisko sochta tha subho-sham, har pal,
Wo yun gaya jaise, gaya waqt nahi raha.

Hai kahan mumkin use yun bhool jaana,
Hai kahan aasan na yaad karna use,
Wo hai meri saanso mein shamil,
Jiske dil mein ab ye nadeem na raha.

Kal jab subha utho, to zara jhank lena khidki se,
Sun lena aawazein jo kabhi tumhe baichain kar jayengi,
Ho sake to poochh bhi lena baahar gurne walon se,
Jawab yahi milege poochhne par tumhe,
"ye janaza hai ek ashiq ka jo ab nahi raha."

Read more...

Ghar kal raat ko tumane ujada hai। haal e dil

>> Tuesday, March 24, 2009

Phir koi zindagi ka matalab poochh raha hai dost,
Phir koi lagta hai aaj pareshan ho ke aaya hai।

Zara sambhal kar chal raha hai aaj vo is jagah,
Jo teri dahaliz pe barason aaya hai।

Yoonhi tamannaon ka khamiyaza bhugat raha hai dil,
Jo is tarah aaj zara khaaamosh aur murajhaya hai।

Kyoon pareshan ho rahe ho dekh dard unaka janab,
Jinaka ghar kal raat ko tumane ujada hai।

Read more...

  © Blogger templates Shiny by Ourblogtemplates.com 2008

Back to TOP