Let's Search

Hoti hai jalan, parvane ki shahadat pe mujhe! haal e dil!

>> Tuesday, November 18, 2008

Dekhakar parvane ka, deewanapan, kuchh shama bhi, itaraayi to hogi,
Halki hi sahi, usaki aag men, gulabi si muskurahat, aayi to hogi।

Socha to hoga, usne bhi, paravane ke jal jaane par,
Usaki aankh bhi, parvane ke anjam par, bhar aayi to hogi।

Kya hai zindagi bhi, parvane ki, shama ki nazron mein,
Ye baat, kisi shayar ne, kalam se, uthaayi to hogi।

Hai anjam kyoon, muhabbat ka, chahat mein jal jaana yaron,
Is sawal pe, kisi diwaane ne, adaalat lagayi to hogi।

Hoti hai jalan, parvane ki shahadat pe mujhe,na jaane kyun?
Is parvane ne, logon ke dilon mein jagah, banayi to hogi।

0 comments:

  © Blogger templates Shiny by Ourblogtemplates.com 2008

Back to TOP